dil ye kahta hai haar kar dekhen
dil ye kahtā hai haar kar dekheñ
ḳhud ko tujh meñ utaar kar dekheñ
koī aatā hai yā nahīñ aatā
aaj ḳhud ko pukār kar dekheñ
zindagī ke baġhair bhī ham log
ek lamha guzār kar dekheñ
hausla chāhiye bikharne meñ
aao ḳhud ko ġhubār kar dekheñ
tīrgī ruuh tak chalī aa.ī
raushnī kā hisār kar dekheñ
ġhaib se aa.egī havā chal kar
mausam-e-gul pukār kar dekheñ
dil ye kahta hai haar kar dekhen
KHud ko tujh mein utar kar dekhen
koi aata hai ya nahin aata
aaj KHud ko pukar kar dekhen
zindagi ke baghair bhi hum log
ek lamha guzar kar dekhen
hausla chahiye bikharne mein
aao KHud ko ghubar kar dekhen
tirgi ruh tak chali aai
raushni ka hisar kar dekhen
ghaib se aaegi hawa chal kar
mausam-e-gul pukar kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.