dil ye kahta hai ki roya jae
Interesting Fact
1970
dil ye kahtā hai ki royā jaa.e
aañkh ke pyāloñ ko dhoyā jaa.e
le uḌā ḳhvāb tū āñkhoñ se koī
ab na ārām se soyā jaa.e
haar jab TuuT ke bikhre har-sū
āñsuoñ ko hī piroyā jaa.e
dhyān kā shahr to khone kā nahīñ
aao is shahr meñ khoyā jaa.e
raat hañstī hai to shabnam ban kar
dāman-e-dil ko bhigoyā jaa.e
hai ye 'naqqāsh' numā.ish kaisī
dil to har-gām pe khoyā jaa.e
dil ye kahta hai ki roya jae
aankh ke pyalon ko dhoya jae
le uDa KHwab tu aankhon se koi
ab na aaram se soya jae
haar jab TuT ke bikhre har-su
aansuon ko hi piroya jae
dhyan ka shahr to khone ka nahin
aao is shahr mein khoya jae
raat hansti hai to shabnam ban kar
daman-e-dil ko bhigoya jae
hai ye 'naqqash' numaish kaisi
dil to har-gam pe khoya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.