dil ye karta hai aaj mera bhi
dil ye kartā hai aaj merā bhī
pūchh le vo mizāj merā bhī
un kī dastār ke bachāne meñ
gir gayā sar se taaj merā bhī
yuuñ to nusḳhe hazār the un par
thā maraz lā-ilāj merā bhī
aaj dushman hai jaan kā merī
thā kabhī ye samāj merā bhī
mujh pe karte rahe hukūmat vo
ḳhud pe kab hogā raaj merā bhī
dil ye karta hai aaj mera bhi
puchh le wo mizaj mera bhi
un ki dastar ke bachane mein
gir gaya sar se taj mera bhi
yun to nusKHe hazar the un par
tha maraz la-ilaj mera bhi
aaj dushman hai jaan ka meri
tha kabhi ye samaj mera bhi
mujh pe karte rahe hukumat wo
KHud pe kab hoga raj mera bhi
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 113)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.