dilasa de ke bahlaya hai dil ko
dilāsā de ke bahlāyā hai dil ko
baḌī mushkil se samjhāyā hai dil ko
tire ġham ne jo chamkāyā hai dil ko
misāl-e-ā.ina paayā hai dil ko
tirī ulfat meñ ai jān-e-tamannā
zamāne bhar se Takrāyā hai dil ko
ḳhirad se be-ta.alluq ho ga.e jab
junūñ kī raah meñ paayā hai dil ko
zahe-qismat ki haq-goī kā jazba
maqām-e-dār tak laayā hai dil ko
kisī ne bazm meñ nīchī nazar se
salām-e-shauq pahuñchāyā hai dil ko
vafā vāloñ ne ġham kī laaj rakkhī
vafā vāloñ ne apnāyā hai dil ko
kisī ne pher kar dil se nigāheñ
na pūchho kitnā taḌpāyā hai dil ko
hamesha rahravān-e-āgahī ne
charāġh-e-rahguzar paayā hai dil ko
kabhī jazbāt kā paikar banāyā
kabhī bātoñ meñ uljhāyā hai dil ko
'nigār' us shoḳh ne apnī nazar se
ḳhudī kā raaz samjhāyā hai dil ko
dilasa de ke bahlaya hai dil ko
baDi mushkil se samjhaya hai dil ko
tere gham ne jo chamkaya hai dil ko
misal-e-aina paya hai dil ko
teri ulfat mein ai jaan-e-tamanna
zamane bhar se Takraya hai dil ko
KHirad se be-talluq ho gae jab
junun ki rah mein paya hai dil ko
zahe-qismat ki haq-goi ka jazba
maqam-e-dar tak laya hai dil ko
kisi ne bazm mein nichi nazar se
salam-e-shauq pahunchaya hai dil ko
wafa walon ne gham ki laj rakkhi
wafa walon ne apnaya hai dil ko
kisi ne pher kar dil se nigahen
na puchho kitna taDpaya hai dil ko
hamesha rahrawan-e-agahi ne
charagh-e-rahguzar paya hai dil ko
kabhi jazbaat ka paikar banaya
kabhi baaton mein uljhaya hai dil ko
'nigar' us shoKH ne apni nazar se
KHudi ka raaz samjhaya hai dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.