dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega
dilāsā de vagarna aañkh ko girya pakaḌ legā
tire jaate hī phir mujh ko ġham-e-duniyā pakaḌ legā
safar go vāpsī kā hai magar tū saath rah mere
mujhe ye ḳhauf hai mujh ko mirā saaya pakaḌ legā
tū apne dil hī dil meñ bas mujhe āvāz detā rah
samā.at ko mirī varna ye sannāTā pakaḌ legā
nikalnā ghar se bāhar bhī alāmat hai tasādum kī
jise tanhā.ī chhoḌegī use ḳhatra pakaḌ legā
mire kho.e hue lamhe kahīñ se DhūñD kar lā do
magar hushiyār rahnā paañv ko rasta pakaḌ legā
agar maiñ lauT jā.ūñ ishq se pahle ke aalam meñ
to us ke qurb se guzrā huā lamha pakaḌ legā
tū ḳhud bhī jāgtā rah aur mujh ko bhī jagātā rah
nahīñ to zindagī ko dūsrā qissa pakaḌ legā
dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega
tere jate hi phir mujh ko gham-e-duniya pakaD lega
safar go wapsi ka hai magar tu sath rah mere
mujhe ye KHauf hai mujh ko mera saya pakaD lega
tu apne dil hi dil mein bas mujhe aawaz deta rah
samaat ko meri warna ye sannaTa pakaD lega
nikalna ghar se bahar bhi alamat hai tasadum ki
jise tanhai chhoDegi use KHatra pakaD lega
mere khoe hue lamhe kahin se DhunD kar la do
magar hushiyar rahna panw ko rasta pakaD lega
agar main lauT jaun ishq se pahle ke aalam mein
to us ke qurb se guzra hua lamha pakaD lega
tu KHud bhi jagta rah aur mujh ko bhi jagata rah
nahin to zindagi ko dusra qissa pakaD lega
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.