dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki Khaal-o-KHad se ibarat nahin hai
dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki Khaal-o-KHad se ibarat nahin hai
Muhib Aarfi
MORE BYMuhib Aarfi
dilbarī us ruḳh-e-dil-rubā kī ḳhāl-o-ḳhad se ibārat nahīñ hai
mahv-e-nazzāra-e-ḳhāl-o-ḳhad ko ye samajhne kī mohlat nahīñ hai
dil se hotī to hai raah dil ko fāsla hai magar raah ḳhud bhī
ek ho jaa.eñ ham aap mil kar ishq kī aisī qismat nahīñ hai
jis ko apnī nazar jāntā huuñ us ke jalvoñ kā hai ik karishma
vo nazar hī nahīñ jis kī hastī us kī marhūn-e-minnat nahīñ hai
ye balā.eñ jo pesh-e-nazar haiñ ye to be-shak fareb-e-nazar haiñ
lekin un se jo taarī hai dil par kyā ye Dar bhī haqīqat nahīñ hai
ġham hai jis ahd-e-māzī kā sab ko uTh ke aa jaa.eñ Dhāñche jo us ke
baḌh ke un ko gale se lagā le ye kisī meñ bhī himmat nahīñ hai
sham.a par jaan denā patango tum ne sīkhā hai kis madrase meñ
sham.a par jaan denā patango zindagī kī zarūrat nahīñ hai
maiñ 'muhib' ek sho.ala thā ya.anī hote rahne kā ik mashġhala thā
hote hote vo shai ho gayā huuñ jis meñ hone kī tāqat nahīñ hai
dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki KHal-o-KHad se ibarat nahin hai
mahw-e-nazzara-e-KHal-o-KHad ko ye samajhne ki mohlat nahin hai
dil se hoti to hai rah dil ko fasla hai magar rah KHud bhi
ek ho jaen hum aap mil kar ishq ki aisi qismat nahin hai
jis ko apni nazar jaanta hun us ke jalwon ka hai ek karishma
wo nazar hi nahin jis ki hasti us ki marhun-e-minnat nahin hai
ye balaen jo pesh-e-nazar hain ye to be-shak fareb-e-nazar hain
lekin un se jo tari hai dil par kya ye Dar bhi haqiqat nahin hai
gham hai jis ahd-e-mazi ka sab ko uTh ke aa jaen Dhanche jo us ke
baDh ke un ko gale se laga le ye kisi mein bhi himmat nahin hai
shama par jaan dena patango tum ne sikha hai kis madrase mein
shama par jaan dena patango zindagi ki zarurat nahin hai
main 'muhib' ek shoala tha yani hote rahne ka ek mashghala tha
hote hote wo shai ho gaya hun jis mein hone ki taqat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.