dilkash-o-dida-zeb hai duniya
dilkash-o-dīda-zeb hai duniyā
kis qadar dil-fareb hai duniyā
ek pur-pech rāsta hai bas
manziloñ kā fareb hai duniyā
ḳhālī aa.ī thī ḳhālī jā.egī
ek muflis kī jeb hai duniyā
vo hī ḳhvāhish hameshgī kī hai
vo hī jannat kā seb hai duniyā
kitnī be-sūd hai vafā is se
ik musalsal fareb hai duniyā
tū farāzī yahāñ kī pā bhī le
fitratan hī nasheb hai duniyā
dilkash-o-dida-zeb hai duniya
kis qadar dil-fareb hai duniya
ek pur-pech rasta hai bas
manzilon ka fareb hai duniya
KHali aai thi KHali jaegi
ek muflis ki jeb hai duniya
wo hi KHwahish hameshgi ki hai
wo hi jannat ka seb hai duniya
kitni be-sud hai wafa is se
ek musalsal fareb hai duniya
tu faraazi yahan ki pa bhi le
fitratan hi nasheb hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.