dilon ki KHak uDne se tumhein kya farq paDta hai
diloñ kī ḳhaak uḌne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
kisī ke jiine marne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumhāre ghar ke raste kī udāsī ḳhatm ho jaa.e
mujhe ghar tak... bulāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumheñ achchhī nahīñ lagtīñ mirī ḳhushiyāñ batāo kyoñ
mire hañsne-hañsāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumheñ to chhat mayassar hai salāmat hai tumhārā ghar
mirā ghar Duub jaane se tumheñ kyā farq paḌtā hai
mire atrāf dushman haiñ parā.e aur apne bhī
laḌe tanhā zamāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
dilon ki KHak uDne se tumhein kya farq paDta hai
kisi ke jine marne se tumhein kya farq paDta hai
tumhaare ghar ke raste ki udasi KHatm ho jae
mujhe ghar tak bulane se tumhein kya farq paDta hai
tumhein achchhi nahin lagtin meri KHushiyan batao kyon
mere hansne-hansane se tumhein kya farq paDta hai
tumhein to chhat mayassar hai salamat hai tumhaara ghar
mera ghar Dub jaane se tumhein kya farq paDta hai
mere atraf dushman hain parae aur apne bhi
laDe tanha zamane se tumhein kya farq paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.