dilon mein aadamiyyat so rahi hai
diloñ meñ ādamiyyat so rahī hai
zamīñ kyā bojh apnā Dho rahī hai
zarā ai ishq tū rahnā sañbhal kar
sharārat husn kī kuchh ho rahī hai
hamārī ārzūoñ ke mahal meñ
udāsī baal khole so rahī hai
jahāñ the ġhalġhale kal mahv-e-raqsāñ
vahāñ pe ḳhāmushī ab ro rahī hai
'sanā' tere ġhubār-e-ā.ina ko
usī kī yaad meñ to dho rahī hai
dilon mein aadamiyyat so rahi hai
zamin kya bojh apna Dho rahi hai
zara ai ishq tu rahna sanbhal kar
shararat husn ki kuchh ho rahi hai
hamari aarzuon ke mahal mein
udasi baal khole so rahi hai
jahan the ghalghale kal mahw-e-raqsan
wahan pe KHamushi ab ro rahi hai
'sana' tere ghubar-e-aina ko
usi ki yaad mein to dho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.