dilon mein bar-e-yaqin-o-guman uThae hue
diloñ meñ bār-e-yaqīn-o-gumāñ uThā.e hue
ravāñ hai raḳht-e-safar kārvāñ uThā.e hue
koī to hai pas-e-dīvār-e-gulsitāñ jis ke
nazāra jo haiñ shajar eḌiyāñ uThā.e hue
mirī misāl purāne shajar kī hai dil par
hazār baaġh bahār-o-ḳhizāñ uThā.e hue
fusūn-e-sohbat shab meñ to niiñd Taltī rahī
phiruñgā din ko ye bār-e-garāñ uThā.e hue
tire ḳhayāl ko phirtā huuñ yuuñ liye jaise
zamīn sar pe phire āsmāñ uThā.e hue
na jaane jism ke sāhil pe ab safīna-e-jāñ
kis intizār meñ hai bādbāñ uThā.e hue
dilon mein bar-e-yaqin-o-guman uThae hue
rawan hai raKHt-e-safar karwan uThae hue
koi to hai pas-e-diwar-e-gulsitan jis ke
nazara jo hain shajar eDiyan uThae hue
meri misal purane shajar ki hai dil par
hazar bagh bahaar-o-KHizan uThae hue
fusun-e-sohbat shab mein to nind Talti rahi
phirunga din ko ye bar-e-garan uThae hue
tere KHayal ko phirta hun yun liye jaise
zamin sar pe phire aasman uThae hue
na jaane jism ke sahil pe ab safina-e-jaan
kis intizar mein hai baadban uThae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.