dilon mein ghar banana aa gaya hai
diloñ meñ ghar banānā aa gayā hai
tumheñ milnā milānā aa gayā hai
ga.e ho siikh muñh pe jhuuT kahnā
tumheñ ab sach chhupānā aa gayā hai
tumhāre muñh meñ ye shohrat kī haDDī
tumheñ bhī dum hilānā aa gayā hai
sunā hai sher kahne lag paḌe ho
tumheñ misra.a lagānā aa gayā hai
purānī ik ġhazal kā sher paḌh kar
tumheñ mahfil uThānā aa gayā hai
nahīñ sach kī koī vaq.at yahāñ par
ḳhudāyā kyā zamāna aa gayā hai
jo apne farz se ġhāfil rahe the
unheñ ab haq jatānā aa gayā hai
tumhārī muskurāhaT kah rahī hai
tumheñ bhī ġham chhupānā aa gayā hai
uThānī aa ga.ī dīvār tum ko
hameñ bhī dar banānā aa gayā hai
mire lab par duā hai rabb-e-zidnī
ḳhazāna ġhā.ebāna aa gayā hai
'razī' jī bhaaḌ meñ jaa.e mohabbat
hameñ ab dil jalānā aa gayā hai
dilon mein ghar banana aa gaya hai
tumhein milna milana aa gaya hai
gae ho sikh munh pe jhuT kahna
tumhein ab sach chhupana aa gaya hai
tumhaare munh mein ye shohrat ki haDDi
tumhein bhi dum hilana aa gaya hai
suna hai sher kahne lag paDe ho
tumhein misra lagana aa gaya hai
purani ek ghazal ka sher paDh kar
tumhein mahfil uThana aa gaya hai
nahin sach ki koi waqat yahan par
KHudaya kya zamana aa gaya hai
jo apne farz se ghafil rahe the
unhen ab haq jatana aa gaya hai
tumhaari muskurahaT kah rahi hai
tumhein bhi gham chhupana aa gaya hai
uThani aa gai diwar tum ko
hamein bhi dar banana aa gaya hai
mere lab par dua hai rabb-e-zidni
KHazana ghaebana aa gaya hai
'razi' ji bhaD mein jae mohabbat
hamein ab dil jalana aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.