dilon mein husn-e-yaqin to kuja guman bhi nahin
diloñ meñ husn-e-yaqīñ to kujā gumāñ bhī nahīñ
tum aag DhūñDh rahe ho yahāñ dhuāñ bhī nahīñ
jalā sakegī ise barq-e-nā-gahāñ bhī nahīñ
ḳhudī qavī ho to ḳhatre meñ āshiyāñ bhī nahīñ
khaḌe haiñ dasht-e-tahayyur meñ ham kidhar jaa.eñ
jaras kā shor to kyā gard-e-kārvāñ bhī nahīñ
falak pe kauñd rahī hai na jaane kyoñ bijlī
chaman meñ ab to mirī ḳhāk-e-āshiyāñ bhī nahīñ
milā hai ḳhil.at-e-uryānī-e-junūñ sad-shukr
balā se tan pe garebāñ kī dhajjiyāñ bhī nahīñ
qafas se chhūT ke ai bekasī kahāñ jā.ūñ
shikasta-bāl bhī huuñ yād-e-āshiyāñ bhī nahīñ
hazāroñ haiñ tirī mahfil meñ zamzama-pardāz
fuġhāñ ki mere liye ruḳhsat-e-fuġhāñ bhī nahīñ
paḌī hai jalva-gah-e-dair-o-ka.aba ab vīrāñ
jamāl-e-yār yahāñ bhī nahīñ vahāñ bhī nahīñ
jabīn-e-shauq hai duniyā-e-ishq meñ rusvā
nasīb is ko tirī ḳhākāstāñ bhī nahīñ
uḌā ke le chal isī ko chaman meñ o par-o-bāl
garāñ qafas bhī nahīñ duur āshiyāñ bhī nahīñ
qimār-e-ishq meñ hāsil hai lazzat-e-jāved
nahīñ jo suud kuchh is meñ na ho ziyāñ bhī nahīñ
ġham-e-jahāñ ne satāyā hai is qadar mujh ko
ki dil meñ yād-e-butāñ kyā ġham-e-butāñ bhī nahīñ
udhar hai darpai-e-taḳhrīb-e-āshiyāñ sayyād
idhar tasavvur-e-ta.amīr-e-āshiyāñ bhī nahīñ
ab aisī naañv pe maujoñ kā ham-safar huuñ maiñ
ki nāḳhudā bhī nahīñ aur bādbāñ bhī nahīñ
vajūd-e-barq hai tāmīr-e-āshiyāñ ai 'valī'
agar bahār nahīñ mausam-e-ḳhizāñ bhī nahīñ
dilon mein husn-e-yaqin to kuja guman bhi nahin
tum aag DhunDh rahe ho yahan dhuan bhi nahin
jala sakegi ise barq-e-na-gahan bhi nahin
KHudi qawi ho to KHatre mein aashiyan bhi nahin
khaDe hain dasht-e-tahayyur mein hum kidhar jaen
jaras ka shor to kya gard-e-karwan bhi nahin
falak pe kaund rahi hai na jaane kyon bijli
chaman mein ab to meri KHak-e-ashiyan bhi nahin
mila hai KHilat-e-uryani-e-junun sad-shukr
bala se tan pe gareban ki dhajjiyan bhi nahin
qafas se chhuT ke ai bekasi kahan jaun
shikasta-baal bhi hun yaad-e-ashiyan bhi nahin
hazaron hain teri mahfil mein zamzama-pardaz
fughan ki mere liye ruKHsat-e-fughan bhi nahin
paDi hai jalwa-gah-e-dair-o-kaba ab viran
jamal-e-yar yahan bhi nahin wahan bhi nahin
jabin-e-shauq hai duniya-e-ishq mein ruswa
nasib is ko teri KHakastan bhi nahin
uDa ke le chal isi ko chaman mein o par-o-baal
garan qafas bhi nahin dur aashiyan bhi nahin
qimar-e-ishq mein hasil hai lazzat-e-jawed
nahin jo sud kuchh is mein na ho ziyan bhi nahin
gham-e-jahan ne sataya hai is qadar mujh ko
ki dil mein yaad-e-butan kya gham-e-butan bhi nahin
udhar hai darpai-e-taKHrib-e-ashiyan sayyaad
idhar tasawwur-e-tamir-e-ashiyan bhi nahin
ab aisi nanw pe maujon ka ham-safar hun main
ki naKHuda bhi nahin aur baadban bhi nahin
wajud-e-barq hai tamir-e-ashiyan ai 'wali'
agar bahaar nahin mausam-e-KHizan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.