dilon mein Khaar labon par gila milega mujhe
diloñ meñ ḳhaar laboñ par gila milegā mujhe
ḳhafā rahegā zamāna to kyā milegā mujhe
ye kyā ḳhabar thī mulāqāt un se hogī agar
nazar se tā-ba-nazar fāsla milegā mujhe
Tilism-e-tīrgi-e-shab kahīñ to TūTegā
koī charāġh kahīñ to jalā milegā mujhe
bahār-e-bāġh-e-tamannā koī to dekhegā
kabhī to dil meñ koī jhāñktā milegā mujhe
zamāna hogā tire saath rah-guzar meñ jahāñ
miTā miTā sā tirā naqsh-e-pā milegā mujhe
Dareñge log vafā ke ḳhayāl se 'nazmī'
mirī vafāoñ kā jis din sila milegā mujhe
dilon mein KHar labon par gila milega mujhe
KHafa rahega zamana to kya milega mujhe
ye kya KHabar thi mulaqat un se hogi agar
nazar se ta-ba-nazar fasla milega mujhe
Tilism-e-tirgi-e-shab kahin to TuTega
koi charagh kahin to jala milega mujhe
bahaar-e-bagh-e-tamanna koi to dekhega
kabhi to dil mein koi jhankta milega mujhe
zamana hoga tere sath rah-guzar mein jahan
miTa miTa sa tera naqsh-e-pa milega mujhe
Darenge log wafa ke KHayal se 'nazmi'
meri wafaon ka jis din sila milega mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.