dilon mein koi hawas koi aarzu bhi nahin
diloñ meñ koī havas koī aarzū bhī nahīñ
maiñ sab luTā chukā ab fikr-e-ābrū bhī nahīñ
zamāñ-makāñ se guzar kar huuñ ālam-e-hū meñ
safar tamām huā shauq-e-justujū bhī nahīñ
tire ḳhayāl kī sar-mastiyāñ dimāġh meñ haiñ
ye vo nasha hai ki minnat-kash-e-subū bhī nahīñ
vo band āñkhoñ meñ rah rah ke jagmagātā hai
namāz-e-ishq meñ pābandī-e-vuzū bhī nahīñ
lahū badan meñ jo hotā to kuchh Tapaktā bhī
dahān-e-zaḳhm ko ab hājat-e-rafū bhī nahīñ
'shamīm' le ke kahāñ aa.ī zindagī mujh ko
ajiib shahr hai hamdam kahāñ adū bhī nahīñ
dilon mein koi hawas koi aarzu bhi nahin
main sab luTa chuka ab fikr-e-abru bhi nahin
zaman-makan se guzar kar hun aalam-e-hu mein
safar tamam hua shauq-e-justuju bhi nahin
tere KHayal ki sar-mastiyan dimagh mein hain
ye wo nasha hai ki minnat-kash-e-subu bhi nahin
wo band aankhon mein rah rah ke jagmagata hai
namaz-e-ishq mein pabandi-e-wuzu bhi nahin
lahu badan mein jo hota to kuchh Tapakta bhi
dahan-e-zaKHm ko ab hajat-e-rafu bhi nahin
'shamim' le ke kahan aai zindagi mujh ko
ajib shahr hai hamdam kahan adu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.