dilon mein pyar ka husn-o-jamal paida ho
diloñ meñ pyaar kā husn-o-jamāl paidā ho
kisī ke shīsha-e-dil meñ na baal paidā ho
hamārī tez zabāñ se kabhī ḳhudā na kare
kisī ke qalb meñ koī malāl paidā ho
nigāh-e-ā.ina bhī jis se munharif ho jaa.e
kisī ke husn meñ kyoñ vo zavāl paidā ho
jo mere zehn meñ yādoñ kī titliyāñ aa.iiñ
shab-e-firāq meñ rañg-e-visāl paidā ho
ḳhayāl hī se hai ījād kā chaman 'fārūq'
ubhār zehn ki taaza ḳhayāl paidā ho
dilon mein pyar ka husn-o-jamal paida ho
kisi ke shisha-e-dil mein na baal paida ho
hamari tez zaban se kabhi KHuda na kare
kisi ke qalb mein koi malal paida ho
nigah-e-aina bhi jis se munharif ho jae
kisi ke husn mein kyon wo zawal paida ho
jo mere zehn mein yaadon ki titliyan aain
shab-e-firaq mein rang-e-visal paida ho
KHayal hi se hai ijad ka chaman 'faruq'
ubhaar zehn ki taza KHayal paida ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.