dilon par hukmarani hai usi ki
diloñ par hukmarānī hai usī kī
ye qissa aur kahānī hai usī kī
yahāñ qabza na karnā bhuul kar bhī
yahāñ bas rājdhānī hai usī kī
ki ham bad-baḳht logoñ meñ yaqīnan
ye saarī kāmrānī hai usī kī
tabhī to shahr saarā jā rahā hai
mirī jaañ mezbānī hai usī kī
ye phūloñ ke na.e paiġhām aanā
yaqīnan mehrbānī hai usī kī
sabhī se muskurā ke bolte ho
yahī to bad-gumānī hai usī kī
qabīla munharif hone lage to
batānā ye nishānī hai usī kī
hameñ dhutkār kar rone lagegā
ye harakat bhī purānī hai usī kī
dilon par hukmarani hai usi ki
ye qissa aur kahani hai usi ki
yahan qabza na karna bhul kar bhi
yahan bas rajdhani hai usi ki
ki hum bad-baKHt logon mein yaqinan
ye sari kaamrani hai usi ki
tabhi to shahr sara ja raha hai
meri jaan mezbani hai usi ki
ye phulon ke nae paigham aana
yaqinan mehrbani hai usi ki
sabhi se muskura ke bolte ho
yahi to bad-gumani hai usi ki
qabila munharif hone lage to
batana ye nishani hai usi ki
hamein dhutkar kar rone lagega
ye harakat bhi purani hai usi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.