dilon par naqsh hona chahta hun
diloñ par naqsh honā chāhtā huuñ
mukammal maut se ghabrā rahā huuñ
sabhī se raaz kah detā huuñ apne
na jaane kyā chhupānā chāhtā huuñ
tavajjoh ke liye tarsā huuñ itnā
ki ik ilzām par ḳhush ho rahā huuñ
mujhe mahfil ke bāhar kā na jaano
maiñ apnā jaam ḳhālī kar chukā huuñ
ye aadat bhī usī kī dī huī hai
ki sab ko muskurā kar dekhtā huuñ
alag hotī hai har lamhe kī duniyā
purānā ho ke bhī kitnā nayā huuñ
dilon par naqsh hona chahta hun
mukammal maut se ghabra raha hun
sabhi se raaz kah deta hun apne
na jaane kya chhupana chahta hun
tawajjoh ke liye tarsa hun itna
ki ek ilzam par KHush ho raha hun
mujhe mahfil ke bahar ka na jaano
main apna jam KHali kar chuka hun
ye aadat bhi usi ki di hui hai
ki sab ko muskura kar dekhta hun
alag hoti hai har lamhe ki duniya
purana ho ke bhi kitna naya hun
- Book : Yahan Tak Roshni Aati Kahan Thi (Pg. 52)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.