dilon par ye naqsh usne apna biThaya
diloñ par ye naqsh us ne apnā biThāyā
ki jo choT par said aayā biThāyā
misāl-e-kabūtar mire dil ko us ne
bhagāyā bulāyā uThāyā biThāyā
tire ātishīñ husn ne sham.a ko shab
khapāyā jalāyā galāyā biThāyā
uThāyā usī ġham ne duniyā se pyāre
kabhī tum ne ham ko na tanhā biThāyā
samajh terī ulTī hai ai jān-e-ālam
ki apnā uThāyā parāyā biThāyā
na bole lahad meñ bhī ham Dar se tere
farishtoñ ne kitnā jagāyā biThāyā
gayā koThe par vo ye kī mah ne azmat
ki ujlā bichhaunā bichhāyā biThāyā
ye vo qais hai ḳhaas shāgird merā
pakaḌ kaan jis ko uThāyā biThāyā
'vaqār' is ġhazal kī zamīñ had burī thī
bahut zor de kar biThāyā biThāyā
dilon par ye naqsh us ne apna biThaya
ki jo choT par said aaya biThaya
misal-e-kabutar mere dil ko us ne
bhagaya bulaya uThaya biThaya
tere aatishin husn ne shama ko shab
khapaya jalaya galaya biThaya
uThaya usi gham ne duniya se pyare
kabhi tum ne hum ko na tanha biThaya
samajh teri ulTi hai ai jaan-e-alam
ki apna uThaya paraya biThaya
na bole lahad mein bhi hum Dar se tere
farishton ne kitna jagaya biThaya
gaya koThe par wo ye ki mah ne azmat
ki ujla bichhauna bichhaya biThaya
ye wo qais hai KHas shagird mera
pakaD kan jis ko uThaya biThaya
'waqar' is ghazal ki zamin had buri thi
bahut zor de kar biThaya biThaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.