dimagh apni jagah se haT raha hai
dimāġh apnī jagah se haT rahā hai
magar ye dil abhī tak DaT rahā hai
mirī saarī kamā.ī luT rahī hai
tirā ġham qahqahoñ meñ baT rahā hai
ye rishta thak gayā hai chalte chalte
safar ḳhāmoshiyoñ meñ kaT rahā hai
sadā kī 'aql to ḳhāmosh Thahrī
hamesha dil bahut muñh-phaT rahā hai
dimagh apni jagah se haT raha hai
magar ye dil abhi tak DaT raha hai
meri sari kamai luT rahi hai
tera gham qahqahon mein baT raha hai
ye rishta thak gaya hai chalte chalte
safar KHamoshiyon mein kaT raha hai
sada ki 'aql to KHamosh Thahri
hamesha dil bahut munh-phaT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.