dimagh-o-dil mein halchal ho rahi hai
dimāġh-o-dil meñ halchal ho rahī hai
nadī yādoñ kī be-kal ho rahī hai
tū apne face ko Dhañk kar nikalnā
nagar meñ dhuup pāgal ho rahī hai
tumhārī yaad kā Daaka paḌā hai
hamārī ziist chañmbal ho rahī hai
abhī to shauq se phāḌā hai dāman
abhī to bas rehearsal ho rahī hai
tirī āñkhoñ pe chashma gair kā hai
mirī tasvīr ojhal ho rahī hai
dimagh-o-dil mein halchal ho rahi hai
nadi yaadon ki be-kal ho rahi hai
tu apne face ko Dhank kar nikalna
nagar mein dhup pagal ho rahi hai
tumhaari yaad ka Daka paDa hai
hamari zist chanmbal ho rahi hai
abhi to shauq se phaDa hai daman
abhi to bas rehearsal ho rahi hai
teri aankhon pe chashma gair ka hai
meri taswir ojhal ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.