dimagh qalb-o-kalam manzar
dimāġh qalb-o-kalām manzar
vo sar se pā tak tamām manzar
vo zulf-e-shab-rañg ḳhvāb-ālam
lahū rulā.egā shaam manzar
tirī ḳhamoshī ġhubār aisī
hamārā husn-e-kalām manzar
laboñ ke yāqūt kī chamak se
chamak uThe haiñ tamām manzar
zamīn mehvar se haT ga.ī hai
badal chukā hai maqām manzar
na.ī ġhazal par haiñ sab kī nazreñ
na.e dikhāo 'nizām' manzar
dimagh qalb-o-kalam manzar
wo sar se pa tak tamam manzar
wo zulf-e-shab-rang KHwab-alam
lahu rulaega sham manzar
teri KHamoshi ghubar aisi
hamara husn-e-kalam manzar
labon ke yaqut ki chamak se
chamak uThe hain tamam manzar
zamin mehwar se haT gai hai
badal chuka hai maqam manzar
nai ghazal par hain sab ki nazren
nae dikhao 'nizam' manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.