din abhi hai to raat bhi to hai
din abhī hai to raat bhī to hai
jiit ke saath maat bhī to hai
zindagī jāvedāñ bhī hotī hai
zindagī be-sabāt bhī to hai
had-e-imkāñ se do qadam baḌh kar
dasht-e-nā-mumkināt bhī to hai
baat kahnī nahīñ koī mushkil
kah guzarne kī baat bhī to hai
ham se jo ban paḌā so kar guzre
aage maulā kī zaat bhī to hai
saare dar band ho ga.e to kyā
ḳhāliq-e-kā.enāt bhī to hai
chalo un kī galī chaleñ tanhā
vo hī rāh-e-najāt bhī to hai
din abhi hai to raat bhi to hai
jit ke sath mat bhi to hai
zindagi jawedan bhi hoti hai
zindagi be-sabaat bhi to hai
had-e-imkan se do qadam baDh kar
dasht-e-na-mumkinat bhi to hai
baat kahni nahin koi mushkil
kah guzarne ki baat bhi to hai
hum se jo ban paDa so kar guzre
aage maula ki zat bhi to hai
sare dar band ho gae to kya
KHaliq-e-kaenat bhi to hai
chalo un ki gali chalen tanha
wo hi rah-e-najat bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.