din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae
din-ba-din ghaTtī huī umr pe nāzil ho jaa.e
ik badan aur mirī ruuh ko hāsil ho jaa.e
morche kholtā rahtā huuñ samundar ke ḳhilāf
jis ko miTnā hai vo aa.e mirā sāhil ho jaa.e
khel hī khel meñ chhū luuñ maiñ kinārā apnā
aise so.uuñ ki jagānā mujhe mushkil ho jaa.e
lag ke bīmār ke siine se na ronā aise
zindagānī kī tarah maut bhī mushkil ho jaa.e
rakh rahe haiñ tire patthar mire zaḳhmoñ kā hisāb
ab ye majma.a bhī mire kashf kā qaa.el ho jaa.e
is qadar der na karnā ki ye āseb-nagar
raat kā ruup le aur jism meñ dāḳhil ho jaa.e
jañg apnoñ se hai to dil ko kināre kar luuñ
rāste meñ yahī talvār na haa.el ho jaa.e
din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae
ek badan aur meri ruh ko hasil ho jae
morche kholta rahta hun samundar ke KHilaf
jis ko miTna hai wo aae mera sahil ho jae
khel hi khel mein chhu lun main kinara apna
aise soun ki jagana mujhe mushkil ho jae
lag ke bimar ke sine se na rona aise
zindagani ki tarah maut bhi mushkil ho jae
rakh rahe hain tere patthar mere zaKHmon ka hisab
ab ye majma bhi mere kashf ka qael ho jae
is qadar der na karna ki ye aaseb-nagar
raat ka rup le aur jism mein daKHil ho jae
jang apnon se hai to dil ko kinare kar lun
raste mein yahi talwar na hael ho jae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 44)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.