din-ba-din nadan banta jae hai
din-ba-din nādān bantā jaa.e hai
aadmī haivān bantā jaa.e hai
jhuuT makkārī tasanño maslahat
ḳhud-ġharaz insān bantā jaa.e hai
aarzī ḳhushiyoñ kā takmīl-e-amal
ḳhuun kā sailān bantā jaa.e hai
ḳhvāhishoñ kī ghan-garaj ke darmiyān
zehn registān bantā jaa.e hai
phuul kī diida dilerī kā azaab
ḳhaar par bohtān bantā jaa.e hai
har nazar ye aadmī kā har usuul
maut kā sāmān bantā jaa.e hai
din-ba-din nadan banta jae hai
aadmi haiwan banta jae hai
jhuT makkari tasanno maslahat
KHud-gharaz insan banta jae hai
aarzi KHushiyon ka takmil-e-amal
KHun ka sailan banta jae hai
KHwahishon ki ghan-garaj ke darmiyan
zehn registan banta jae hai
phul ki dida dileri ka azab
KHar par bohtan banta jae hai
har nazar ye aadmi ka har usul
maut ka saman banta jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.