din bhar ke dahakte hue suraj se laDa hun
din bhar ke dahakte hue sūraj se laḌā huuñ
ab raat ke dariyā meñ paḌā Duub rahā huuñ
ab tak maiñ vahīñ par huuñ jahāñ se maiñ chalā huuñ
āvāz kī raftār se kyuuñ bhaag rahā huuñ
rakhte ho agar aañkh to bāhar se na dekho
dekho mujhe andar se bahut TuuT chukā huuñ
ye sab tirī mahkī huī zulfoñ kā karam hai
ik saañs meñ ik umr ke dukh bhuul gayā huuñ
tū jism ke andar hai ki bāhar hai kidhar hai
'alvī' mirī jaañ kab se tujhe DhūñD rahā huuñ
din bhar ke dahakte hue suraj se laDa hun
ab raat ke dariya mein paDa Dub raha hun
ab tak main wahin par hun jahan se main chala hun
aawaz ki raftar se kyun bhag raha hun
rakhte ho agar aankh to bahar se na dekho
dekho mujhe andar se bahut TuT chuka hun
ye sab teri mahki hui zulfon ka karam hai
ek sans mein ek umr ke dukh bhul gaya hun
tu jism ke andar hai ki bahar hai kidhar hai
'alwi' meri jaan kab se tujhe DhunD raha hun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 42)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.