din Dhal chuka hai aur wahi naqsha hai dhup ka
din Dhal chukā hai aur vahī naqsha hai dhuup kā
ye shaġhl-e-ḳhud-numā.ī bhī achchhā hai dhuup kā
parde pe aañkh ke jo sitāra thā bujh gayā
kirdār is kahānī meñ kyā kyā hai dhuup kā
do ek bol Dūbte sūraj kī zau pe bhī
ye āḳhirī varaq abhī saada hai dhuup kā
ik lahr jaag uThtī hai is dil meñ sub.h-dam
jis par safīna tairtā rahtā hai dhuup kā
tasvīr din kī chhoḌ bhī sakte haiñ nā-tamām
paimāna ham se kho bhī to saktā hai dhuup kā
ye aañkh dam-ba-dam kisī lau ke asar meñ hai
is aa.ine pe bhī hameñ dhoka hai dhuup kā
kuchh dauḌ-dhūp aur bhī dil kī zamīn par
is ruḳh pe maujzan abhī dariyā hai dhuup kā
din Dhal chuka hai aur wahi naqsha hai dhup ka
ye shaghl-e-KHud-numai bhi achchha hai dhup ka
parde pe aankh ke jo sitara tha bujh gaya
kirdar is kahani mein kya kya hai dhup ka
do ek bol Dubte suraj ki zau pe bhi
ye aaKHiri waraq abhi sada hai dhup ka
ek lahr jag uThti hai is dil mein subh-dam
jis par safina tairta rahta hai dhup ka
taswir din ki chhoD bhi sakte hain na-tamam
paimana hum se kho bhi to sakta hai dhup ka
ye aankh dam-ba-dam kisi lau ke asar mein hai
is aaine pe bhi hamein dhoka hai dhup ka
kuchh dauD-dhup aur bhi dil ki zamin par
is ruKH pe maujzan abhi dariya hai dhup ka
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 58)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.