din Dhal gayā to raat kā rishta javāñ huā
vāraftagī-e-shauq kā sho.ala javāñ huā
har phūl-phal thā shāḳh-e-lahū kā nasīb-var
barsoñ ke baa'd jab mirā sapnā javāñ huā
mujh se valī-sifat kī kahāñ qadr-o-manzilat
masjid se duur hī mirā sajda javāñ huā
ghar kā ye hashr ab kisī mahshar se kam nahīñ
dīvār-o-dar ko toḌ ke fitna javāñ huā
kahte haiñ log is meñ 'sabā' kā hai rūp-rañg
dariyā kā bhaag le ke jo qatra javāñ huā
din Dhal gaya to raat ka rishta jawan hua
waraftagi-e-shauq ka shoala jawan hua
har phul-phal tha shaKH-e-lahu ka nasib-war
barson ke ba'd jab mera sapna jawan hua
mujh se wali-sifat ki kahan qadr-o-manzilat
masjid se dur hi mera sajda jawan hua
ghar ka ye hashr ab kisi mahshar se kam nahin
diwar-o-dar ko toD ke fitna jawan hua
kahte hain log is mein 'saba' ka hai rup-rang
dariya ka bhag le ke jo qatra jawan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.