din Dhala baDhne lagin parchhaiyan
din Dhalā baḌhne lagīñ parchhā.iyāñ
phir vahī ġham phir vahī tanhā.iyāñ
jhilmilā.e jaise lahroñ par kiran
aas letī dil meñ yuuñ añgḌā.iyāñ
paañv kī pāzeb ke ghuñghrū the ashk
TūTne par baj uThīñ shahnā.iyāñ
jab nagar kī dhuup meñ jalnā paḌā
yaad aa.iiñ gaañv kī amrā.iyāñ
ab bhalā tanhā kahāñ maiñ rah gayā
saath haiñ mere mirī rusvā.iyāñ
din Dhala baDhne lagin parchhaiyan
phir wahi gham phir wahi tanhaiyan
jhilmilae jaise lahron par kiran
aas leti dil mein yun angDaiyan
panw ki pazeb ke ghunghru the ashk
TuTne par baj uThin shahnaiyan
jab nagar ki dhup mein jalna paDa
yaad aain ganw ki amraiyan
ab bhala tanha kahan main rah gaya
sath hain mere meri ruswaiyan
- Book : سمے کمہار ہے
- Author : چندر واحد
- Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.