din Dhale ghar se nikalte ho koi baat to hai
din Dhale ghar se nikalte ho koī baat to hai
tum jo saḌkoñ pe Tahalte ho koī baat to hai
maiñ bhī bāloñ meñ sajā letī huuñ har shaam gulāb
tum bhī ḳhushbū se bahalte ho koī baat to hai
din meñ rahte ho magan apne ḳhayāloñ meñ kahīñ
shab ga.e niiñd meñ chalte ho koī baat to hai
bātoñ-bātoñ meñ pakaḌ ke jo kabhī haath mirā
be-sabab baat badalte ho koī baat to hai
sard rātoñ meñ khulī chhat pe sitāroñ ke tale
mom kī tarah pighalte ho koī baat to hai
jis taraf chaltī hai mausam ko liye narm havā
tum usī samt meñ chalte ho koī baat to hai
na batāo to koī baat nahīñ hai lekin
tum kisī aag meñ jalte ho koī baat to hai
din Dhale ghar se nikalte ho koi baat to hai
tum jo saDkon pe Tahalte ho koi baat to hai
main bhi baalon mein saja leti hun har sham gulab
tum bhi KHushbu se bahalte ho koi baat to hai
din mein rahte ho magan apne KHayalon mein kahin
shab gae nind mein chalte ho koi baat to hai
baaton-baaton mein pakaD ke jo kabhi hath mera
be-sabab baat badalte ho koi baat to hai
sard raaton mein khuli chhat pe sitaron ke tale
mom ki tarah pighalte ho koi baat to hai
jis taraf chalti hai mausam ko liye narm hawa
tum usi samt mein chalte ho koi baat to hai
na batao to koi baat nahin hai lekin
tum kisi aag mein jalte ho koi baat to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.