din guzare saleT paTTi par
din guzāre saleT paTTī par
ilm sīkhā hai TaaT paTTī par
khaal ustād kī amānat thī
milkiyat baap kī thī haDDī par
zid bhī karte the apne abbū se
kaañp jaate the un kī sanTī par
vaqt ne toḌ dī kamar varna
sar to lagtā thā chhat kī ballī par
shaḳhsiyat kī talāsh thī jin meñ
naam likkhe hue the taḳhtī par
ham bahal jaate the miyāñ 'sājid'
ik batāshe se guḌ kī Dallī par
din guzare saleT paTTi par
ilm sikha hai TaT paTTi par
khaal ustad ki amanat thi
milkiyat bap ki thi haDDi par
zid bhi karte the apne abbu se
kanp jate the un ki sanTi par
waqt ne toD di kamar warna
sar to lagta tha chhat ki balli par
shaKHsiyat ki talash thi jin mein
nam likkhe hue the taKHti par
hum bahal jate the miyan 'sajid'
ek batashe se guD ki Dalli par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.