din guzarta hai talash-e-yar mein
din guzartā hai talāsh-e-yār meñ
kaTtī hai shab hasrat-e-dīdār meñ
jins-e-dil hai paas to gāhak bahut
koī aa hī jā.egā bāzār meñ
kis ke naqsh-e-pā ke yā-rab hai nishāñ
gul khile haiñ kūcha-e-aġhyār meñ
haa.e jazb-e-ishq kī nairangiyāñ
hazrat-e-yūsuf bike bāzār meñ
dekhne ko haal kab aa.e haiñ aap
haal jab baaqī nahīñ bāzār meñ
ab shabāb aaya to farq aane lagā
aap kī guftār meñ raftār meñ
shahr meñ huuñ kyā kamī mā'shūq kī
ḳhūb-rū haiñ saiñkaḌoñ bāzār meñ
shauq se bismil ragaḌte haiñ galā
kyā maza hai aap kī talvār meñ
DhūñD hai kis ne likhā ye hāl-e-dil
ek katba hai nayā dīvār meñ
haa.e re hālat umīd-o-bīm kī
merī kashtī aaj hai mañjdhār meñ
milne ko milte haiñ lākhoñ aadmī
ādamiyyat miltī hai do-chār meñ
dil-faroshoñ kī do-rūya bhiiḌ hai
sair ko nikle haiñ vo bāzār meñ
maan lo merī ḳhudā ko maan kar
raat āḳhir ho ga.ī takrār meñ
barg-e-gul samjhī tire muñh kā ugaal
us ko bulbul le uḌī minqār meñ
kab bujhī is se mire dil kī lagī
aab hai to ho tirī talvār meñ
dil ko bahlāyā ḳhayāl-e-yār se
mashġhala ye thā firāq-e-yār meñ
vo bhī bad-ḳhū ye bhī hai nāzuk-mizāj
ho na kuchh jhagḌā dil-o-dildār meñ
laakh sehat us pe qurbāñ kījiye
vo maza hai ishq ke bāzār meñ
ḳhair darbāñ to vahāñ jaane na de
paḌ raheñge sāya-e-dīvār meñ
husn us parda-nashīñ kā hai kuchh aur
yuuñ to haiñ lākhoñ hasīñ bāzār meñ
haa.e kab maqtal meñ laa.e haiñ mujhe
dam hī jab baaqī nahīñ talvār meñ
pī bahut ab ḳhauf be-kaifī kā hai
sāqiyā thoḌī sī de miqdār meñ
ab vo samjhe garmī-e-ḳhūn-e-shahīd
jabki chhāle paḌ ga.e talvār meñ
kab kisī kī baat sunte haiñ 'ḳhayāl'
vo to be-ḳhud haiñ ḳhayāl-e-yār meñ
din guzarta hai talash-e-yar mein
kaTti hai shab hasrat-e-didar mein
jins-e-dil hai pas to gahak bahut
koi aa hi jaega bazar mein
kis ke naqsh-e-pa ke ya-rab hai nishan
gul khile hain kucha-e-aghyar mein
hae jazb-e-ishq ki nairangiyan
hazrat-e-yusuf bike bazar mein
dekhne ko haal kab aae hain aap
haal jab baqi nahin bazar mein
ab shabab aaya to farq aane laga
aap ki guftar mein raftar mein
shahr mein hun kya kami ma'shuq ki
KHub-ru hain sainkaDon bazar mein
shauq se bismil ragaDte hain gala
kya maza hai aap ki talwar mein
DhunD hai kis ne likha ye haal-e-dil
ek katba hai naya diwar mein
hae re haalat umid-o-bim ki
meri kashti aaj hai manjdhaar mein
milne ko milte hain lakhon aadmi
aadamiyyat milti hai do-chaar mein
dil-faroshon ki do-ruya bhiD hai
sair ko nikle hain wo bazar mein
man lo meri KHuda ko man kar
raat aaKHir ho gai takrar mein
barg-e-gul samjhi tere munh ka ugal
us ko bulbul le uDi minqar mein
kab bujhi is se mere dil ki lagi
aab hai to ho teri talwar mein
dil ko bahlaya KHayal-e-yar se
mashghala ye tha firaq-e-yar mein
wo bhi bad-KHu ye bhi hai nazuk-mizaj
ho na kuchh jhagDa dil-o-dildar mein
lakh sehat us pe qurban kijiye
wo maza hai ishq ke bazar mein
KHair darban to wahan jaane na de
paD rahenge saya-e-diwar mein
husn us parda-nashin ka hai kuchh aur
yun to hain lakhon hasin bazar mein
hae kab maqtal mein lae hain mujhe
dam hi jab baqi nahin talwar mein
pi bahut ab KHauf be-kaifi ka hai
saqiya thoDi si de miqdar mein
ab wo samjhe garmi-e-KHun-e-shahid
jabki chhaale paD gae talwar mein
kab kisi ki baat sunte hain 'KHayal'
wo to be-KHud hain KHayal-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.