din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh
din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bāġh
ālām-e-rozgār se hāsil nahīñ farāġh
raġhbat kise ki lījiye aish-o-tarab kā naam
fursat kahāñ ki kījiye sahbā se pur ayāġh
vīrāna-e-hayāt meñ āsūda-ḳhātirī
kis ko milā is āhu-e-ram-ḳhurda kā surāġh
āsār-e-kū-e-dost haiñ aur pā-shikastagī
ḳhushbū-e-zulf-e-yār hai aur ham se be-dimāġh
kis kī jabīñ pe haiñ ye sitāre araq araq
kis ke lahū se chāñd kā dāman hai daaġh daaġh
karte haiñ kasb-e-nūr isī tīrgī se ham
'anjum' haiñ dil ke daaġh guhar-hā-e-shab-charāġh
din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh
aalam-e-rozgar se hasil nahin faragh
raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab ka nam
fursat kahan ki kijiye sahba se pur ayagh
virana-e-hayat mein aasuda-KHatiri
kis ko mila is aahu-e-ram-KHurda ka suragh
aasar-e-ku-e-dost hain aur pa-shikastagi
KHushbu-e-zulf-e-yar hai aur hum se be-dimagh
kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq
kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh
karte hain kasb-e-nur isi tirgi se hum
'anjum' hain dil ke dagh guhar-ha-e-shab-charagh
- Book : NUQOOSH (Yearly) (Pg. 177)
- Author : Mohd. Fufail
- Publication : Idarah-e-Farogh-e-urdu, Lahore (Jan. Feb. 1957,Issue 61,62)
- Edition : Jan. Feb. 1957,Issue 61,62
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.