Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din junun ke aan pahunche hoshiyaran alwidaa

Inamullah Khan Yaqeen

din junun ke aan pahunche hoshiyaran alwidaa

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    din junūñ ke aan pahuñche hoshiyārāñ alvidā.a

    fasl-e-gul nazdīk aa.ī ai garebāñ alvidā.a

    mai-kada se qasd makka kiyā hai kyā kareñ

    tauba ham se ho ga.ī ai mai-parastāñ alvidā.a

    na.iiñ hameñ fursat ki ab ke saal bāñdheñ āshiyāñ

    bāġhbāñ hukm yuuñ hai ai gulistāñ alvidā.a

    ham se thā vīrāna Tuk ābād so ham bhī chale

    ab ḳhudā-hāfiz tumhārā ai ġhazālāñ alvidā.a

    nā-tavānī se use jaur-o-jafā taab na.iiñ

    ab 'yaqīñ' būḌhā huā ai naujavānāñ alvidā.a

    din junun ke aan pahunche hoshiyaran alwidaa

    fasl-e-gul nazdik aai ai gareban alwidaa

    mai-kada se qasd makka ka kiya hai kya karen

    tauba hum se ho gai ai mai-parastan alwidaa

    nain hamein fursat ki ab ke sal bandhen aashiyan

    baghban ka hukm yun hai ai gulistan alwidaa

    hum se tha virana Tuk aabaad so hum bhi chale

    ab KHuda-hafiz tumhaara ai ghazalan alwidaa

    na-tawani se use jaur-o-jafa ki tab nain

    ab 'yaqin' buDha hua ai naujawanan alwidaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now