din kai din chhupa raha jaise
din ka.ī din chhupā rahā jaise
koī us ko satā rahā jaise
sub.h sūraj ko niiñd aane lagī
abr chādar uḌhā rahā jaise
ek aahaT sī lag rahī mujh ko
koī pīchhe se aa rahā jaise
ham musāfir haiñ ek jangal meñ
ḳhauf rasta dikhā rahā jaise
uljhā uljhā sā ek chehra hī
sau fasāne sunā rahā jaise
qāfila merā baḌh gayā aage
mujh ko maazī bulā rahā jaise
din kai din chhupa raha jaise
koi us ko sata raha jaise
subh suraj ko nind aane lagi
abr chadar uDha raha jaise
ek aahaT si lag rahi mujh ko
koi pichhe se aa raha jaise
hum musafir hain ek jangal mein
KHauf rasta dikha raha jaise
uljha uljha sa ek chehra hi
sau fasane suna raha jaise
qafila mera baDh gaya aage
mujh ko mazi bula raha jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.