din ke saare kaarī lamhe ro baiThe
yaad meñ us kī baiThe baiThe ro baiThe
aaj bhare bāzār meñ bebas apnī hī
tanhā.ī par hañste hañste ro baiThe
din meñ us piile kamre kī ḳhāmoshī
raat meñ us ke kaale saa.e ro baiThe
ishq meñ ye bhī ajab maqām ik aaya thā
vo soyā thā takte takte ro baiThe
ik kirdār film kā bilkul ham jaisā
ik joker ke dekh Thahāke ro baiThe
din ke sare kari lamhe ro baiThe
yaad mein us ki baiThe baiThe ro baiThe
aaj bhare bazar mein bebas apni hi
tanhai par hanste hanste ro baiThe
din mein us pile kamre ki KHamoshi
raat mein us ke kale sae ro baiThe
ishq mein ye bhi ajab maqam ek aaya tha
wo soya tha takte takte ro baiThe
ek kirdar film ka bilkul hum jaisa
ek joker ke dekh Thahake ro baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.