din ke sine pe raat ka patthar
din ke siine pe raat kā patthar
kis ke hai iltifāt kā patthar
rok detā hai baḌhte qadmoñ ko
ho ke haa.il hayāt kā patthar
sañg-e-buniyād hai mohabbat kā
yā mirī kā.enāt kā patthar
mujh ko duniyā ne āzmāyā hai
pheñk kar hādsāt kā patthar
TukḌe TukḌe sifāt kī mūrat
reza reza hai zaat kā patthar
hai ye imdād-e-bāhamī kā bhavan
pāñch kī iiñT saat kā patthar
kyā uThā.eñge nā-tavāñ kāñdhe
dahr ke iltifāt kā patthar
haath aa jāoge rañge hāthoñ
pheñk do apne haath kā patthar
hone vaalā hai nazr āñdhī kī
ik na ik din hayāt kā patthar
'sāz' kul vārdāt kah degā
mauqa-e-vārdāt kā patthar
din ke sine pe raat ka patthar
kis ke hai iltifat ka patthar
rok deta hai baDhte qadmon ko
ho ke hail hayat ka patthar
sang-e-buniyaad hai mohabbat ka
ya meri kaenat ka patthar
mujh ko duniya ne aazmaya hai
phenk kar hadsat ka patthar
TukDe TukDe sifat ki murat
reza reza hai zat ka patthar
hai ye imdad-e-bahami ka bhawan
panch ki inT sat ka patthar
kya uThaenge na-tawan kandhe
dahr ke iltifat ka patthar
hath aa jaoge range hathon
phenk do apne hath ka patthar
hone wala hai nazr aandhi ki
ek na ek din hayat ka patthar
'saz' kul wardat kah dega
mauqa-e-wardat ka patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.