din mein jo sath sab ke hansta tha
din meñ jo saath sab ke hañstā thā
rāt-bhar vo akele rotā thā
bas vahī merī āḳhirī shab thī
chāñd jis raat mujh se rūThā thā
āḳhirī umr tak rahegī yaad
saath jis ke maiñ raat bhīgā thā
aur to koī thā nahīñ shāyad
raat ko uTh ke maiñ hī chīḳhā thā
jo haqīqat khulī to ye jaanā
vo mohabbat nahīñ tamāshā thā
maiñ baḌā sañg-dil thā yaaro jab
dil banāne kā merā pesha thā
aur to saare ḳhush the bas 'indar'
ek bulbul udaas baiThā thā
din mein jo sath sab ke hansta tha
raat-bhar wo akele rota tha
bas wahi meri aaKHiri shab thi
chand jis raat mujh se ruTha tha
aaKHiri umr tak rahegi yaad
sath jis ke main raat bhiga tha
aur to koi tha nahin shayad
raat ko uTh ke main hi chiKHa tha
jo haqiqat khuli to ye jaana
wo mohabbat nahin tamasha tha
main baDa sang-dil tha yaro jab
dil banane ka mera pesha tha
aur to sare KHush the bas 'indar'
ek bulbul udas baiTha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.