din muradon ke aish ki raaten
din murādoñ ke aish kī rāteñ
haa.e kyā ho ga.iiñ vo barsāteñ
raat ko baaġh meñ mulāqāteñ
yaad haiñ jaise ḳhvāb kī bāteñ
hasrateñ sard aaheñ garm aañsū
laa.ī hai barshgāl sauġhāteñ
ḳhvār haiñ yuuñ mire shabāb ke din
jaise jāḌoñ kī chāñdnī rāteñ
dil ye kahtā hai kunj-e-rāhat huuñ
dekhnā ġham-nasīb kī bāteñ
jin ke dam se shabāb thā zinda
haa.e 'aḳhtar' vo ishq kī ghāteñ
din muradon ke aish ki raaten
hae kya ho gain wo barsaten
raat ko bagh mein mulaqaten
yaad hain jaise KHwab ki baaten
hasraten sard aahen garm aansu
lai hai barshgal saughaten
KHwar hain yun mere shabab ke din
jaise jaDon ki chandni raaten
dil ye kahta hai kunj-e-rahat hun
dekhna gham-nasib ki baaten
jin ke dam se shabab tha zinda
hae 'aKHtar' wo ishq ki ghaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.