din saliqe se uga raat Thikane se rahi
din salīqe se ugā raat Thikāne se rahī
dostī apnī bhī kuchh roz zamāne se rahī
chand lamhoñ ko hī bantī haiñ musavvir āñkheñ
zindagī roz to tasvīr banāne se rahī
is añdhere meñ to Thokar hī ujālā degī
raat jañgal meñ koī sham.a jalāne se rahī
fāsla chāñd banā detā hai har patthar ko
duur kī raushnī nazdīk to aane se rahī
shahr meñ sab ko kahāñ miltī hai rone kī jagah
apnī izzat bhī yahāñ hañsne hañsāne se rahī
din saliqe se uga raat Thikane se rahi
dosti apni bhi kuchh roz zamane se rahi
chand lamhon ko hi banti hain musawwir aankhen
zindagi roz to taswir banane se rahi
is andhere mein to Thokar hi ujala degi
raat jangal mein koi shama jalane se rahi
fasla chand bana deta hai har patthar ko
dur ki raushni nazdik to aane se rahi
shahr mein sab ko kahan milti hai rone ki jagah
apni izzat bhi yahan hansne hansane se rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.