din to jun-tun chalo guzar jae
din to jūñ-tūñ chalo guzar jaa.e
nighrā raat meñ kidhar jaa.e
ye saḌak par paḌā huā ik shaḳhs
is ke siine se car utar jaa.e
ghar se paañv nikal gayā us kā
ab ḳhudā jaane vo kidhar jaa.e
is zamāne meñ zindagī ke liye
soch bhī le koī to mar jaa.e
raat kī fikr to karūñ lekin
sar se ye dhuup to utar jaa.e
aa.ina muñh chiḌā rahā hai mujhe
ḳhud ko jo dekh le to Dar jaa.e
intishār-e-hayāt uf jaise
ā.īna TuuT kar bikhar jaa.e
din to jun-tun chalo guzar jae
nighra raat mein kidhar jae
ye saDak par paDa hua ek shaKHs
is ke sine se car utar jae
ghar se panw nikal gaya us ka
ab KHuda jaane wo kidhar jae
is zamane mein zindagi ke liye
soch bhi le koi to mar jae
raat ki fikr to karun lekin
sar se ye dhup to utar jae
aaina munh chiDa raha hai mujhe
KHud ko jo dekh le to Dar jae
intishaar-e-hayat uf jaise
aaina TuT kar bikhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.