diya fareb tamanna ko har ghaDi maine
diya fareb tamanna ko har ghaDi maine
Daulat Ram Sabir Panipati
MORE BYDaulat Ram Sabir Panipati
diyā fareb tamannā ko har ghaḌī maiñ ne
murād man kī na paa.ī magar kabhī maiñ ne
umīd-o-bīm se dil ko najāt mil na sakī
guzār dī hai tazabzub meñ zindagī maiñ ne
ḳhirad kā raag mire ġham se daad pā na sakā
junūñ ko sauñp diyā sāz-e-āgahī maiñ ne
bulā ke mujh ko sar-e-bazm be-hijāb kiyā
tire karam kī haqīqat bhī dekh lī maiñ ne
visāl-o-hijr ke jhagḌoñ se be-niyāz huuñ maiñ
isī meñ dekhī hai le de ke behtarī maiñ ne
tire junūñ ke ta.alluq maiñ kyā kahūñ 'sābir'
tujhe qarīb se dekhā nahīñ abhī maiñ ne
diya fareb tamanna ko har ghaDi main ne
murad man ki na pai magar kabhi main ne
umid-o-bim se dil ko najat mil na saki
guzar di hai tazabzub mein zindagi main ne
KHirad ka rag mere gham se dad pa na saka
junun ko saunp diya saz-e-agahi main ne
bula ke mujh ko sar-e-bazm be-hijab kiya
tere karam ki haqiqat bhi dekh li main ne
visal-o-hijr ke jhagDon se be-niyaz hun main
isi mein dekhi hai le de ke behtari main ne
tere junun ke talluq main kya kahun 'sabir'
tujhe qarib se dekha nahin abhi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.