diya jab dil to dilbar ka gila kya
diyā jab dil to dilbar kā gila kyā
sitam-parvar karam nā-āshnā kyā
na pūchheñ pūchhne vaale huā kyā
ye dekheñ us ne dil le kar kiyā kyā
duhā.ī hai shab-e-hijrāñ duhā.ī
qayāmat kī sahar kā aasrā kyā
kahāñ tak saath de zauq-e-nazāra
tire jalvoñ kā merā sāmnā kyā
rahī mashq-e-sitam dil par yuuñ hī gar
tumhārā hī miTegā ghar mirā kyā
yahī do-chār tinke āshiyāñ ke
milā sayyād ko is ke sivā kyā
batā do vāqi.āt-e-tūr kuchh to
kalīm-ullāh guzrā mājrā kyā
qafas jaane se pahle thā chaman meñ
nasheman bāġhbāñ merā huā kyā
unheñ dil de diyā nādīda 'afqar'
hijāb-o-ġhamza-o-nāz-o-adā kyā
diya jab dil to dilbar ka gila kya
sitam-parwar karam na-ashna kya
na puchhen puchhne wale hua kya
ye dekhen us ne dil le kar kiya kya
duhai hai shab-e-hijran duhai
qayamat ki sahar ka aasra kya
kahan tak sath de zauq-e-nazara
tere jalwon ka mera samna kya
rahi mashq-e-sitam dil par yun hi gar
tumhaara hi miTega ghar mera kya
yahi do-chaar tinke aashiyan ke
mila sayyaad ko is ke siwa kya
bata do waqiat-e-tur kuchh to
kalim-ullah guzra majra kya
qafas jaane se pahle tha chaman mein
nasheman baghban mera hua kya
unhen dil de diya nadida 'afqar'
hijab-o-ghamza-o-naz-o-ada kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.