diya jala ke koi chand par rakha hoga
diyā jalā ke koī chāñd par rakhā hogā
usī ke saa.e meñ vo ham ko DhūñDhtā hogā
koī to zid meñ ye aa kar kabhī kahe ham se
ye baat yuuñ nahīñ aise thī yuuñ huā hogā
tumhārā ghar sar-e-mahtāb jo banā Daale
tumhārā beTā nahīñ vo ḳhudā rahā hogā
vo āñkheñ abr kī mānind ro rahī hoñgī
vo ziina ḳhvāb meñ mahtāb par Tikā hogā
ye kyā zarūrī hai āñkhoñ meñ der tak rahnā
ḳhayāl aap hī tasvīr ban gayā hogā
sunahre piñjre kī apnī hī haisiyat hogī
parinda ḳhush hai magar ḳhuub chīḳhtā hogā
kahā hai ek nujūmī ne tum miloge hameñ
zamīñ se chāñd talak ek rāsta hogā
ḳhudā kare ki bahut jald tum ko dekh aa.eñ
tumhāre ghar meñ ab ik phuul khil uThā hogā
diya jala ke koi chand par rakha hoga
usi ke sae mein wo hum ko DhunDhta hoga
koi to zid mein ye aa kar kabhi kahe hum se
ye baat yun nahin aise thi yun hua hoga
tumhaara ghar sar-e-mahtab jo bana Dale
tumhaara beTa nahin wo KHuda raha hoga
wo aankhen abr ki manind ro rahi hongi
wo zina KHwab mein mahtab par Tika hoga
ye kya zaruri hai aankhon mein der tak rahna
KHayal aap hi taswir ban gaya hoga
sunahre pinjre ki apni hi haisiyat hogi
parinda KHush hai magar KHub chiKHta hoga
kaha hai ek nujumi ne tum miloge hamein
zamin se chand talak ek rasta hoga
KHuda kare ki bahut jald tum ko dekh aaen
tumhaare ghar mein ab ek phul khil uTha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.