Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan

Naseer Turabi

diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan

Naseer Turabi

MORE BYNaseer Turabi

    diyā dil ke ḳharābe meñ jal rahā hai miyāñ

    diye ke gird koī aks chal rahā hai miyāñ

    ye ruuh raqs-e-charāġhāñ hai apne halqe meñ

    ye jism saaya hai aur saaya Dhal rahā hai miyāñ

    ye aañkh parda hai ik gardish-e-tahayyur

    ye dil nahīñ hai bagūla uchhal rahā hai miyāñ

    kabhī kisī guzarnā kabhī Thahar jaanā

    mire sukūt meñ kyā kyā ḳhalal rahā hai miyāñ

    kisī raah meñ aflāk zer-e-pā hote

    yahāñ to paañv se sahrā nikal rahā hai miyāñ

    hujūm-e-shoḳh meñ ye dil be-ġharaz niklā

    chalo koī to harīfāna chal rahā hai miyāñ

    tujhe abhī se paḌī hai ki faisla ho jaa.e

    na jaane kab se yahāñ vaqt Tal rahā hai miyāñ

    tabī.atoñ ke milne se thā maza baaqī

    so vo maza bhī kahāñ āj-kal rahā hai miyāñ

    ġhamoñ fasl meñ jis ġham ko rā.egāñ samjhe

    ḳhushī to ye hai ki vo ġham bhī phal rahā hai miyāñ

    likhā 'nasīr' ne har rang meñ safed-o-siyāh

    magar jo harf lahū meñ machal rahā hai miyāñ

    diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan

    diye ke gird koi aks chal raha hai miyan

    ye ruh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein

    ye jism saya hai aur saya Dhal raha hai miyan

    ye aankh parda hai ek gardish-e-tahayyur ka

    ye dil nahin hai bagula uchhal raha hai miyan

    kabhi kisi ka guzarna kabhi Thahar jaana

    mere sukut mein kya kya KHalal raha hai miyan

    kisi ki rah mein aflak zer-e-pa hote

    yahan to panw se sahra nikal raha hai miyan

    hujum-e-shoKH mein ye dil hi be-gharaz nikla

    chalo koi to harifana chal raha hai miyan

    tujhe abhi se paDi hai ki faisla ho jae

    na jaane kab se yahan waqt Tal raha hai miyan

    tabiaton hi ke milne se tha maza baqi

    so wo maza bhi kahan aaj-kal raha hai miyan

    ghamon ki fasl mein jis gham ko raegan samjhe

    KHushi to ye hai ki wo gham bhi phal raha hai miyan

    likha 'nasir' ne har rang mein safed-o-siyah

    magar jo harf lahu mein machal raha hai miyan

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    Naseer Turabi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now