diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
Sher Mohammad Khan Iman
MORE BYSher Mohammad Khan Iman
diyat is qātil-e-be-rahm se kyā lījiyegā
apnī hī āñkhoñ se ab ḳhuun bahā lījiyegā
phir nahīñ hone kī taqsīr to aisī hargiz
ab kisī tarah merī jaan bachā lījiyegā
is qadar sañg-dilī tum ko nahīñ hai lāzim
kisī mazlūm kī gaahe to duā lījiyegā
laḳht-e-dil ḳhaak meñ detā hai koī bhī rahne
gir paḌe ashk to āñkhoñ se uThā lījiyegā
phir na pachhtāo kahīñ baad mire jaane ke
gāliyāñ aur hoñ baaqī to sunā lījiyegā
ruuTh kar jaa.e koī apne se pyāre to vahīñ
chāhiye aap gale paḌ ke manā lījiyegā
apne mushtāq ko lāzim hai ki gaahe maahe
ġhair kī aañkh bachā ghar meñ bulā lījiyegā
ek muddat huī kuchh harf-o-hikāyat hī nahīñ
jī meñ hai aaj to bātoñ meñ lagā lījiyegā
kisī jalse meñ jo 'īmān' kaho to jāneñ
ghar meñ yuuñ baiThe hue sher banā lījiyegā
diyat is qatil-e-be-rahm se kya lijiyega
apni hi aankhon se ab KHun baha lijiyega
phir nahin hone ki taqsir to aisi hargiz
ab kisi tarah meri jaan bacha lijiyega
is qadar sang-dili tum ko nahin hai lazim
kisi mazlum ki gahe to dua lijiyega
laKHt-e-dil KHak mein deta hai koi bhi rahne
gir paDe ashk to aankhon se uTha lijiyega
phir na pachhtao kahin baad mere jaane ke
galiyan aur hon baqi to suna lijiyega
ruTh kar jae koi apne se pyare to wahin
chahiye aap gale paD ke mana lijiyega
apne mushtaq ko lazim hai ki gahe mahe
ghair ki aankh bacha ghar mein bula lijiyega
ek muddat hui kuchh harf-o-hikayat hi nahin
ji mein hai aaj to baaton mein laga lijiyega
kisi jalse mein jo 'iman' kaho to jaanen
ghar mein yun baiThe hue sher bana lijiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.