diye apni zau pe jo itra rahe hain
diye apnī zau pe jo itrā rahe haiñ
añdhere muhāfiz hue jā rahe haiñ
jo ham dil ke dil meñ hī dafnā rahe haiñ
vo asrār ḳhud hī khule jā rahe haiñ
unheñ bhūlnā itnā āsāñ na hogā
mirī zindagī jo hue jā rahe haiñ
tumhārī sadāqat kī hai ye hī qīmat
ham ilzām sar pe liye jā rahe haiñ
hamī se hai ġhāfil hamārā masīhā
idhar aas meñ zahr ham khā rahe haiñ
diye apni zau pe jo itra rahe hain
andhere muhafiz hue ja rahe hain
jo hum dil ke dil mein hi dafna rahe hain
wo asrar KHud hi khule ja rahe hain
unhen bhulna itna aasan na hoga
meri zindagi jo hue ja rahe hain
tumhaari sadaqat ki hai ye hi qimat
hum ilzam sar pe liye ja rahe hain
hami se hai ghafil hamara masiha
idhar aas mein zahr hum kha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.