diye maTi ke nahin dil ke jala karte the
diye maaTī ke nahīñ dil ke jalā karte the
kabhī is mulk meñ insāñ bhī rahā karte the
ab to Daste hue sannāTe haiñ bas duur talak
goshe goshe meñ jahāñ jashn huā karte the
be-sahāroñ kī qatāroñ meñ unheñ dekhā hai
kabhī jo haath sitāroñ ko chhuā karte the
ye ajantā ye hasīñ taaj ḳhabar detā hai
pattharoñ meñ bhī yahāñ chāñd khilā karte the
kaise aatī na asar le ke falak se 'sāġhar'
log hoñToñ se nahīñ dil se duā karte the
diye maTi ke nahin dil ke jala karte the
kabhi is mulk mein insan bhi raha karte the
ab to Daste hue sannaTe hain bas dur talak
goshe goshe mein jahan jashn hua karte the
be-sahaaron ki qataron mein unhen dekha hai
kabhi jo hath sitaron ko chhua karte the
ye ajanta ye hasin taj KHabar deta hai
pattharon mein bhi yahan chand khila karte the
kaise aati na asar le ke falak se 'saghar'
log honTon se nahin dil se dua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.