diye usne auron ko saghar pe saghar
diye us ne auroñ ko sāġhar pe sāġhar
chubho.e mire dil meñ nashtar pe nashtar
marīz-e-mohabbat kī hai ab ye hālat
ki aate haiñ har vaqt chakkar pe chakkar
mirī saḳht-jānī ġhazab rang laa.ī
hue kund qātil ke ḳhanjar pe ḳhanjar
karam hai ye saaqī kī dariyā-dilī kā
mile mujh ko bhar-bhar ke sāġhar pe sāġhar
chaḌhāte haiñ tyorī dikhāte haiñ āñkheñ
chubhote haiñ dil meñ vo nashtar pe nashtar
tirī justujū meñ mah-o-mehr donoñ
lagāte haiñ din raat chakkar pe chakkar
muqābil huā un kī chitvan se jab dil
paḌe tiir par tiir ḳhanjar pe ḳhanjar
nigāhoñ ne dil meñ chubhoī haiñ chhuriyāñ
adāoñ ne maare haiñ ḳhanjar pe ḳhanjar
na sarkā sar us dar se 'āfāq' hargiz
lagā kar ise laakh Thokar pe Thokar
diye us ne auron ko saghar pe saghar
chubhoe mere dil mein nashtar pe nashtar
mariz-e-mohabbat ki hai ab ye haalat
ki aate hain har waqt chakkar pe chakkar
meri saKHt-jaani ghazab rang lai
hue kund qatil ke KHanjar pe KHanjar
karam hai ye saqi ki dariya-dili ka
mile mujh ko bhar-bhar ke saghar pe saghar
chaDhate hain tyori dikhate hain aankhen
chubhote hain dil mein wo nashtar pe nashtar
teri justuju mein mah-o-mehr donon
lagate hain din raat chakkar pe chakkar
muqabil hua un ki chitwan se jab dil
paDe tir par tir KHanjar pe KHanjar
nigahon ne dil mein chubhoi hain chhuriyan
adaon ne mare hain KHanjar pe KHanjar
na sarka sar us dar se 'afaq' hargiz
laga kar ise lakh Thokar pe Thokar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.