Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui

Razi Akhtar Shauq

do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

    do bādal aapas meñ mile the phir aisī barsāt huī

    jism ne jism se sargoshī ruuh ruuh se baat huī

    do dil the aur ek mausam jis saḳhāvat aisī thī

    maiñ bhī ik barkhā meñ nahāyā vo bhī abr-sifāt huī

    us ke haath meñ haath liye aur dhuup chhāñv meñ chaltā huā

    yuuñ lagtā thā saarī duniyā jaise mere saath huī

    saarī umr surāġh na miltā apne hone na hone

    ye ik lahr lahū jānāñ donoñ isbāt huī

    is mausam ne jaate jaate ik do pal bārish

    phir vahī halqa paañv meñ aayā phir vahī gardish saath huī

    do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui

    jism ne jism se sargoshi ki ruh ki ruh se baat hui

    do dil the aur ek sa mausam jis ki saKHawat aisi thi

    main bhi ek barkha mein nahaya wo bhi abr-sifat hui

    us ke hath mein hath liye aur dhup chhanw mein chalta hua

    yun lagta tha sari duniya jaise mere sath hui

    sari umr suragh na milta apne hone na hone ka

    ye ek lahr lahu ki jaanan donon ka isbaat hui

    is mausam ne jate jate ek do pal ki barish ki

    phir wahi halqa panw mein aaya phir wahi gardish sath hui

    Source :
    • Book : Monthly Usloob (Pg. 510)
    • Author : Mushfiq Khawaja
    • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
    • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now