do din ki hansi do din ki KHushi anjam-e-amal rona hi paDa
do din kī hañsī do din kī ḳhushī anjām-e-amal ronā hī paḌā
ik umr gañvā.ī jis ke liye ik roz use khonā hī paḌā
ham aur alā.eq se chhūTeñ mumkin nahīñ jab tak ham ham haiñ
dariyā ko ba-īñ āzād-ravī zanjīr-ba-pā honā hī paḌā
bāzār meñ aa kar nādāñ dil manzar ke khilaunoñ par machlā
aur pīr-e-ḳhird ko kāñdhe par ambār-e-nazar Dhonā hī paḌā
kyā jāniye āḳhir kyoñ itnī āzurda rahī hoñToñ se hañsī
qismat pe bhī hañsnā jab chāhā aa.ī na hañsī ronā hī paḌā
ham tuḳhm-e-mohabbat jannat se siine meñ churā kar le aa.e
is ret meñ kyā ugtā vo bhalā haañ laa.e the bonā hī paḌā
bedār-dilī ke mansūbe ham kyā kyā bāñdh ke aa.e the
duniyā ne thapak kar lorī dī niiñd aa hī ga.ī sonā hī paḌā
do din ki hansi do din ki KHushi anjam-e-amal rona hi paDa
ek umr ganwai jis ke liye ek roz use khona hi paDa
hum aur alaeq se chhuTen mumkin nahin jab tak hum hum hain
dariya ko ba-in aazad-rawi zanjir-ba-pa hona hi paDa
bazar mein aa kar nadan dil manzar ke khilaunon par machla
aur pir-e-KHird ko kandhe par ambar-e-nazar Dhona hi paDa
kya jaaniye aaKHir kyon itni aazurda rahi honTon se hansi
qismat pe bhi hansna jab chaha aai na hansi rona hi paDa
hum tuKHm-e-mohabbat jannat se sine mein chura kar le aae
is ret mein kya ugta wo bhala han lae the bona hi paDa
bedar-dili ke mansube hum kya kya bandh ke aae the
duniya ne thapak kar lori di nind aa hi gai sona hi paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.